Posts

Showing posts from February, 2022

Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Muṡanna rahmatullāhi alaihi

Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Muṡanna rahmatullāhi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ Mazeed Posts ke liye Website dekhen : (For more posts Visit this website) : http://fikreummat.net/ **************** Aap ki wilaadat 12 Ramazaan 29 Hijri (650 A.D.) me Madeena munawwara me hui. ************* Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba ibn Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naaam Khawla bint Manzoor bin Zaban al-Fazzaziyah hai. ************* Aap ilm aur taqwa ke jaame the aur raawi e Hadeeṡe nabawi hain. ************* Pariwaar : ‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ Aap ki 2 biwiya, 6 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain. (1) Sayyeda Faatima Sughra binte Imaam Husain se 3 saahabzaade : Abdullāh al-Mahaz, Ibrāheem al-Ghamar aur Hasan al-Muṡallaṡ. 2 saahabzaadiya : Zainab, Umme Kulṡum. (2) Ummal Walad Habshia Roomia se 3 saahabzaade : Daawūd, Ja’afar aur Yahyā.  ************* Aap se Hasani saadaat ki nasl jaari hai. Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Ji...

Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi :

Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ **************** Aap ki wilaadat 2 Rajab 212 Hijri (27 September 827 A.D.) ko Madeena me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Taqi bin Imaam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Sumaanah hai. Aap Husaini saadaat hain. ********** Aap bachpan se bahot hi zaheen the. ********** Aap ke waalid ki shahaadat ke baad aap Imaam bane. Aap Aa'imma e Ahle bait ke 10we Imaam hain. ********** Aap ke 3 saahabzaade hain : (1) Hasan al-Askari, (2) Muhammad, (3) Abu Abdullāh Ja’afar al-Zaki. ********** Aap Masjid e Nabawi me logo ko ta’aleem e deen karte the. Aap talba ko  aur haajatmando ko imdaad karte rehte the. Aap ki sakhaawat aur ilm ki wajah se log aap ki bahot izzat karte the. ********** Ek baar ek shakhs ke upar bahot qarz ho gaya. Aap ne use bulakar 30000 dirham diye. Us ne kaha “Huzoor! Mera qarz sirf is raqam ka ek tihai ya’ani 10000 dirham hi hai.” Aap ne farmaaya “Theek h...

Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi :

Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ **************** Alqaab : ‾‾‾‾‾‾‾‾ Shaikh-ul-Mashaa'ikh, Imaam-ul-Muttaqeen, Sayyed-ut-Taabi'een. ************** Aap ki wilaadat 21 Hijri (642 A.D.) me Madeena munawwara me hui. ************** Aap ke waalid ka naam Yaasar aur waalida ka naam Khaira hai. Ye dono Faarsi (Irani) the. Aap ke waalid ko Maysan (Iraq) me qaid karke Madeena laaya gaya. Kuchh waqt baad un ke maalik Zaid ibn Ṡaabit Ansaari ne un ko aazaad kiya aur 12  Hijri me Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me unho ne Islaam apnaaya. Madeena me Ummul mo’mineen Hazrate Umme Salma radiy-Allahu ta’ala anha ki kaneez Khaira se un ka nikaah hua. Aap ki wilaadat ke baad jab Aap ko Ameer-ul-mo’mineen Hazrat Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke paas laaya gaya to unho ne aap ka haseen chehra dekhkar aap ka naam ‘Hasan’ rakha aur dua ki “Aye ALLĀH! Ise Aalime deen bana aur logo ka mehboob bana.” ************** Aap ne Ummul mo’minee...

Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi

Hazrat Imaam Sayyed Ja’afar al-Saadiq rahmatullāhi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ **************** Alqaab : ‾‾‾‾‾‾‾‾ Saadiq (Truthful), Faazil (Virtuous), Taahir (Pure). ***************** Aap ki wilaadat 17 Rabi-ul-Awwal 83 Hijri (20 April 702 A.D.) ko Madeena me hui. ***************** Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Baaqir bin Imaam Zainul aabideen Sayyed Ali al-Aswat  rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Hazrat Umme Farwah, Faatima bint Hazrat Qaasim bin  Muhammad bin Abu Bakr Siddeeq rahmatullāhi alaihi hai. Aap Husaini saadaat hain. ****************** Aap ne apne daada Imaam Zain-ul-aabideen aur waalid Imaam Muhammad al- Baaqir ke paas Qur'ān aur Hadeeṡ aur Tafseer ki ta’aleem haasil ki. Aap Hadeeṡ, Tafseer Fiq'h (Islamic jurisprudence), Falsafa (Philosophy), Ilm e kalaam (Theology), Ilm e Riyaazi (Mathematics), Ilm e Hai'at wa falaq (Astronomy), Ilme Tashreeh (Anatomy), Ilm e Keemiya (Alchemy) aur dusre uloom me maahir hue. ****************** 114...

طواف کا بڑا ریکارڈ

طواف کا بڑا ریکارڈ ــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــ اگر آپ کعبہ شریف کا سات چکر لگائیں گے تو عربی میں اسے ایک اُسبُوع کہیں گے یعنی طواف کے ایک اسبوع کا مطلب ہوا سات چکر ( دیکھیں معجم الوسيط، اسبوع)  حضرت ابو یونس حسن ضمری علیہ الرحمہ کا نام قوی بھی تھا یعنی طاقت ور اور اس کی وجہ یہ ہوئی کہ وہ مکہ مکرمہ گئے تو ایک دن میں سَتَّر (70) اسبوع طواف کیا یعنی چار سو نوے (490) چکر لگائے إنما سمي أبو یونس القوي لقوتہ علی العبادۃ، و ذلک أنہ قدم مکۃ فطاف في یوم واحد سبعین أسبوعا فسمي القوي. (الثقات لابن حبان، ج٦، ص١٦٩)  طالب دعا : سید جیلانی میاں جیلانی خانقاہ مدنی سرکار موربی . گجرات

اسلام اور ویلنٹائنس

یہ تُحفہ نہیں، جہنم کا شُعلہ ہے ــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــــ ہمارے نبی صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ وَسَلَّم نے فرمایا : رشوت دینے والا اور رشوت لینے والا دونوں جہنمی ہیں (الترغيب والترهيب للمنذری، ج٣، ص١٢٥، حدیث ٢، رواتہ ثقات معروفون)  رشوت کی تو کئی صورتیں ہیں لیکن آج ویلینٹائنس ڈے (Valentine's day) پر جو رشوت عام ہے صرف اس کے بارے میں شریعت کا حکم پیش ہے : علامہ ابن نجیم حنفی علیہ الرحمہ لکھتے ہیں : عاشق و معشوق جو کچھ بھی ایک دوسرے کو دیتے ہیں وہ رشوت ہے (البحر الرائق، ج٦، ص٤٤١، کتاب القضاء) فتاوی عالم گیری میں ہے : عاشق و معشوق ایک دوسرے کو جو چیزیں دیتے ہیں وہ رشوت ہیں ان میں ملکیت ثابت نہیں ہوتی (الفتاوی الھندیۃ، ج٤، ص٤٥٢، کتاب الھبۃ، الباب الحادی عشر فی المتفرقات) علامہ ابن غانم بغدادی حنفی لکھتے ہیں : عاشق و معشوق ایک دوسرے کو جو چیزیں دیتے ہیں وہ رشوت ہیں ان میں ملکیت ثابت نہیں ہوتی (مجمع الضمانات، ج٢، ص٩٣٨، الباب الثامن و الثلاوثون : المتفرقات، عدد ٣٨٤٠) علامہ طحطاوی حنفی علیہ الرحمہ لکھتے ہیں : ع...