Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi :
Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ **************** Aap ki wilaadat 2 Rajab 212 Hijri (27 September 827 A.D.) ko Madeena me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Taqi bin Imaam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Sumaanah hai. Aap Husaini saadaat hain. ********** Aap bachpan se bahot hi zaheen the. ********** Aap ke waalid ki shahaadat ke baad aap Imaam bane. Aap Aa'imma e Ahle bait ke 10we Imaam hain. ********** Aap ke 3 saahabzaade hain : (1) Hasan al-Askari, (2) Muhammad, (3) Abu Abdullāh Ja’afar al-Zaki. ********** Aap Masjid e Nabawi me logo ko ta’aleem e deen karte the. Aap talba ko aur haajatmando ko imdaad karte rehte the. Aap ki sakhaawat aur ilm ki wajah se log aap ki bahot izzat karte the. ********** Ek baar ek shakhs ke upar bahot qarz ho gaya. Aap ne use bulakar 30000 dirham diye. Us ne kaha “Huzoor! Mera qarz sirf is raqam ka ek tihai ya’ani 10000 dirham hi hai.” Aap ne farmaaya “Theek h...