Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi :

Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi an-Naqi ramatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

****************
Aap ki wilaadat 2 Rajab 212 Hijri (27 September 827 A.D.) ko Madeena me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Sayyed Muhammad al-Taqi bin Imaam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Sumaanah hai.

Aap Husaini saadaat hain.

**********
Aap bachpan se bahot hi zaheen the.

**********
Aap ke waalid ki shahaadat ke baad aap Imaam bane.
Aap Aa'imma e Ahle bait ke 10we Imaam hain.

**********
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Hasan al-Askari,
(2) Muhammad,
(3) Abu Abdullāh Ja’afar al-Zaki.

**********
Aap Masjid e Nabawi me logo ko ta’aleem e deen karte the.
Aap talba ko  aur haajatmando ko imdaad karte rehte the.
Aap ki sakhaawat aur ilm ki wajah se log aap ki bahot izzat karte the.

**********
Ek baar ek shakhs ke upar bahot qarz ho gaya. Aap ne use bulakar 30000 dirham diye. Us ne kaha “Huzoor! Mera qarz sirf is raqam ka ek tihai ya’ani 10000 dirham hi hai.” Aap ne farmaaya “Theek hai. Magar ab tum woh puri raqam apne paas rakho aur baaqi raqam apne ghar waalo ke liye kharch karna taake phir se tumhe qarzdaar na hona pade.” Yeh sunkar wo sab shakhs adab ke saath Aap ke qadmo me gir gaya.

**********
Ek martaba baadshaah al-Mutawakkil ke darbaar me Imaam Ali al-Haadi ne farmaaya ki “Darindo par Aale Rasool ka gosht haraam hai.”
Jab ye guftagu chal rahi thi to waha baithe kuchh darbaariyo ne kaha  “Is baat ki aazma'ish Imaam par hi honi chaahiye ki Aale Rasool ko darinde khaate hain ya nahi.”
Chunaanche baadshaah ne kaha “Aap sher-khaane me tashreef le jaaye to logo ko waaqai maaloom ho jaaye ki Aale Rasool ka gosht darindo par haraam hai.”
Aap sher-khaane me (jis me sher qaid the) tashreef le gaye aur darwaaza band kar diya gaya aur baadshaah apne baala khaane me baithkar dekhne laga.
Jab aap shero ke paas gaye to sher aap ko chhukar aap ke ird gird phirne lage phir aazeezi aur adab ke saath ghutne tek kar baith gaye.

**********
Madeena ke governor Abdullāh bin Muhammad ne Abbaasi khalifa al-Mutawakkil bin al-Mu’atasim ko kaha ki “Imaam maal jama karke hathiyaar jama kar rahe hain aur us ke khilaaf  baghaawat karenge.”
Aap ko jab is baat ka pata chala to aap ne al-Mutawakkil ko khat likhkar bataaya ki “Us ko jo baat bataai gai hai hai wo galat hai aur Ahle bait se bughz ki wajah se Abdullāh bin Muhammad ne ye sab kiya hai.”

al-Mutawakkil ne aap ko jawaabi khat me likha “Maine governor ko bartaraf kar diya hai aur aap Samarra mere paas aa jaao taake aap ki hifaazat kar saken.”
Aap ne jab ye khat padha to Aap samajh gaye ki asl me ye sab mujhe Madeena nikaalne ke liye ho raha hai. Magar Aap jaante the agar main nahi gaya to woh zabar dasti le jaaya jaayega.

Jab al-Mutawakkil ke hukm se Yahyā bin Harsama ne Madeena aakar Aap ke ghar ki talaashi li to use Qur'ān shareef  aur deeni kitaabo ke ilaawa kuchh na mila.
Magar woh al-Mutawakkil ke hukm se Imaam ko Madeena se Samarra ke liye apne saath lekar nikla. Raaste me jab qaafila Baghdad pahuncha to Yahyā bin Harsama ki mulaaqat Baghdad ke governor Isaaq bin Ibrāheem Zahiri se hui. Us ne tamaam baat sunkar use mashwara diya “Agar tum Samarra jaakar Imaam ke baare me galat baat bataoge aur agar al-Mutawakkil Imaam ko qatl kar dega to is gunaah ke zimmedar tum honge.”
Samarra pahunchkar Yahyā bin Harsama ne al-Mutawakkil ke baare me achhi baaten batai aur kaha “Imaam ke ghar me aisi koi cheez nahi mili hai jo Abdullāh ke ilzaam ko sahi saabit kare.”
Is se al-Mutawakkil ko itminaan hua aur Imaam se mila. Phir bhi us ne Imaam ko Samarra me ek makaan me rehne ke liye kaha aur is tarah 232 Hijri me aap ko pariwaar ke saath nazar qaid karke rakha.

Is ke baad Imaam ke husn e akhlaaq se Aap ki izzat badhne lagi to al-Mutawakkil ne ek jalsa munaaqid kiya jis me bahot saare ulama aur fuqaha ko bulaaya aur Ibne Sakkit ko aise mushkil sawaal tayyaar karne ko kaha jin ke jawab Imaam na de sake take woh unhe zaleel kar sake.
Jab jalse me Ibne Sakkit ne Imaam se woh sawaal puchhe to aap ne uske behtar jawaab diye. Phir al-Mutawakkil ne Imaam se puchha “Kya mere bete Hasan wa Husain ibn Ali se zyada mohtaram hain?” Aap ne farmaaya “Hazrate Ali ke ghulaam Qambar bhi tumhare beto se zyada mohtaram hai.”

Is ke baad al-Mutawakkil ne logo ko Imaam ko tohfe dene se mana farmaaya ke kahin us maal se Imaam hathiyaar jama karke jung na kare.
Aur kai baar apne sipaahiyo ko bhejkar Aap ke makaan ki talaashi leta raha. Magar har baar aap ke ghar me se koi aisi cheez nahi mili.

Imaam ki izzat aur shohrat se pareshaan hokar al-Mutawakkil ne kuchh ghair-muslim ko maal dekar Imaam ko qatl karne ke liye kaha. Magar jab us ne Imaam ko pehredaaro ke saath aate dekha to apna iraada badal diya aur un shakhso ko rok diya.

Is ke baad 247 Hijri (861 A.D.) me al-Mutawakkil ne apne afsaro aur tamaam mash'hoor logo ke liye farman jaari kiya ki ‘Jab woh apne sawaari par ho to tamaam logo ko nange pair chalna hoga.’

Jab us ka zulm badhne laga to Imaam ne Qur’an ki aayat tilaawat ki ‘Tum 3 din apne ghar me maza [lutf] le lo, ye waada hai jo jhutlaaya nahi jaayega.’
Is ke 3 din baad al-Mutawakkil ko us ke bete al-Muntasir ne turk hukoomat ke kuchh shakhs ke saath milkar qatl kar diya.

Is ke baad al-muntasir ke zamaane me kuchh waqt ke liye Aap ko riha kiya.
Magar us ke intiqaal ke baad al-Mustaeen aur al-Mu’atazz ke zamaane me phir se Aap ko nazar qaid kar liya.

**********
al-Mu’atazz ke zamaane me Aap ko qaatil zeher diya gaya. Jis ki wajah se Aap ko shadeed dard hone laga aur Aap ki shahaadat hui.

Aap ne pehle hi se apne liye apne makaan me ek qabr tayyaar ki thi.
Aap ke saahabzaade Imaam Sayyed Hasan al-Askari ne tajheez ke baad namaaz e janaaza padhkar aap ki wasiyat ke mutaabiq Aap ko usi qabr me dafn kiye.

**********
Aap ka wisaal 3 Rajab 254 Hijri (28 June 868 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Samarra (Iraq) me hai.



****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Sayyed Ali al-Haadi al-Naqi rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Comments

Popular posts from this blog

گائے کی قربانی شعار اسلام ہے