Hadith: Qayamat ke din Qabr se sabe pahley main niklunga , jab log Allah ki baargah mein hazir hongey to main unhey basaharat dunga
Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu ne farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din aur sabse pahley mein Shafa’at karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi
Sahih Muslim, Vol 6 , 5940
Anas bin malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Qayamat ke din Qabr se sabe pahley main niklunga , jab log Allah ki baargah mein hazir hongey to main unhey basaharat dunga, aur us din Hamd ka jhanda mere haath mein hoga , Ibn-e-Adam mein se Allah ke nazdeek sabse behtar mein hu aur is par mujhe fakhr nahi ( yani ye baat apni badaii ke liye nahi kah raha)
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1542 ( Hasan)
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Main pahla shaksh hu jiski kabr ki zameen sabse pahley phategi , phir mujhe jannat ke kapdon ke jodon mein se ek joda pahnaya jayega , iskey baad main Arsh ke dahiney taraf khada ho jaunga , us jagah tamam makhuqat mein se mere siwa koi khada nahi ho payega.
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1543( Hasan)
-----------------------------------------------
English translation:
Hazrat Abu Huraira may ALLAH be pleased with him reported Allah's Messenger may peace be upon him as saying: I shall be pre-eminent arriongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah)
Sahih Muslim, Book 030, Number 5655:
Anas bin Maalik Radi-Allahu-Anhu reported that Allah’s Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam said, “I will be the first of the people to come out (of the grave) when they are resurrected. I will be their spokesman when they go before Allah. And I will be the giver of glad tidings t othem when they are disappointed.
On that day, the standard of Hamd (praise) will be in my hand. And I am the noblest of the childeren of Aadam in the sight of my Lord and there is no boast (about it).
Jamia Tirmidhi, 3630 ( Hasan)
Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu reported that Allah’s Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam said, “I will he the first one for whom the earth will be split (at the grave). I will be made to wear garmentsof paradise. Then I will stand by the right of the throne. There is no one of the creatures other than me who will stand at that place.
Jamia Tirmidhi, 3631 (Hasan)
Comments
Post a Comment