Jume ki Namaz ka Sawab
Hazrat Abu Huraira se riwayat
hai ki Nabi
(Sallallahu alayhi wasallam) ne irshad
farmaya,
juma ke din farishte masjid ke
darwazay par
khade ho jate hai aur masjid mein
aane walo ke
naam silsilewar apni kitaab mein
likhte hai. sabse
pahle aane wale ko oont (camel) ki
qurbani dene
ka sawab likha jata hai. uske baad
aane wale
shakhs ko gaaye (cow) ki qurbani
dene ka sawab,
phir bhera (ram) ki qurbani dene ka
sawab, uske
baad aane wale ko murge (chicken) ki
qurmani
dene ka sawab aur uske baad wale
shakhs ko
ande (egg) ki qurbani dene ka sawab
likha jata
hai. jab imam khutba dene aata hai
to farishte
kitaab band kar ke khutba sunne
lagte hai.
(Bukhari, Kitaab 13, Hadees no. 51
Comments
Post a Comment