Hadith: Qayamat ke din Qabr se sabe pahley main niklunga , jab log Allah ki baargah mein hazir hongey to main unhey basaharat dunga Hazrat Abu Hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah sallallahu ne farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din aur sabse pahley mein Shafa’at karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi Sahih Muslim, Vol 6 , 5940 Anas bin malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki Qayamat ke din Qabr se sabe pahley main niklunga , jab log Allah ki baargah mein hazir hongey to main unhey basaharat dunga, aur us din Hamd ka jhanda mere haath mein hoga , Ibn-e-Adam mein se Allah ke nazdeek sabse behtar mein hu aur is par mujhe fakhr nahi ( yani ye baat apni badaii ke liye nahi kah raha) Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1542 ( Hasan) Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Main pahla shaksh hu jiski kabr ki zameen sabse pahley phategi , ...