JASHN-E-MILADUN- NABI KI KHUSHI MANA-NE KA FAYDA
*_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_**_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_*

Pyare aaqa 'sallalahu ta'ala alayhi wasallam' ki wiladat ki khushi ka izhar karne se abu-lahab ko fayda hua:
Huzoor akdas 'sallalahu ta'ala alayhi wasallam' ki wiladat ki khabar jab abu-lahab ki londi sobiya ne usko sunayi, to us waqt abu-lahab ne khush ho kar sobiya ko azad kar diya, fir kai dino tak sobiya ne huzoor 'sallalahu ta'ala alayhi wasallam' ko dudh pilaya...

fir jab abu-lahab ko uske marne ke bad hazrat abbas 'radiallahu anhu' ne khwab me dekha, aur puchha ki tera kya hal hai.?

Abu-lahab ne kaha "aag me hun, lekin har peer ki rat ko aag me halka-pan hota hai, aur un do ungliyo se pani chusta hun jinke ishare se sobiya ko maine azad kiya tha...

(Sahi Bukhari Sharif)

Andaza lagaye aap ek kafir jo apne bhatije ki wiladat per khush hoker apni loundi ko azaad kiya tha…,
Ham aur aap to aashiq hai aaqa k………, hame moula kya ajr dega milad shareef ki khushi manane per mere pyaare aaqa k pyaare deewano zara ghour karo………, aur jo aitraaz karte hai khushi manane per unhe is waqiye se sabaq sikhna chahiye
Allah pak hamsabko apne pyaare habib ki mohabbath me doob ker milad shareef manane ki toufeeq ata farmaye
Aur munqire milad ko hidayat ata farmaye, Aameen
.
♥ Nisar Teri Chahal Pahal Per Hazaron Eiden Rabi-Ul-Awal. . .
♥ Siwae Iblees K Jahan Main Sabhi To Khushian Mana Rahe Hain. . .
*_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_**_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_♥_*

Comments

Popular posts from this blog

تراویح ، رمضان ، Ramzan, Taravih

جس کا کوئی پیر نہیں ، اس کا پیر شیطان ہے کا صحیح مفہوم کیا ہے؟

Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi :