•»VISAAL-A-FATIMA«•
****************
HIQAYAT:-
*******
Khatoon-A-Jannat Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Jab Bimaar Hui To Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Farmaya, Aye Fatima! Meri Yeh Vasiyat Hain Ki Jab Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Paas Pahucho To Mera Salaam Arz Karna Aur Kehna, Ya Rasoolallah! Main Aapka Mushtaq Hoon! Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Ne Farmaya Ki Meri Bhi Ek Vasiyat Hain Ki Jab Mera Intekaal Hojaye To Mujhper Cheekh-Chillaker Maatam Mat Karna Aur Mere Noor-A-Chasm Hasan Aur Husain Ko Maarna Nahi! Aye Sher-A-Khuda! Wo Dekhiye Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Bahoatse Farishton Ke Sath Tashrif Le Aaye Hain! Ab Main Ja Rahi Hoon! Aur Mere Intekaal Ke Baad Fala Jagah Maine Ek Kaagaz Ka Tukda Badi Hifazat Se Rakha Hain! Us Kaagaz Ko Nikaalker Mere Kafan May Rakh Dena Aur Use Padhna Nahi! Hazrat Ali Ne Farmaya, Fatima! Rasoolallah Ka Waasta Deker Kehta Hoon Ki Mujhe Bata Do Ki Us Kaagaz May Kya Likha Hain? Hazrat Fatima Radi-Allahu-Ta'aala-Anha Ne Farmaya Ki Jab Mera Nikah Aapse Hone Laga Tha To Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Mujhse Farmaya-
Aye Fatima! Main Ali Se 400 Miskaal Chandi Ke Maher Per Tumahra Nikah Karne Laga Hoon! Maine Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Ali Mujhe Manzoor Hain Lekin Itna Maher Mujhe Manzoor Nahi! Itne May Zibrayil Amin Ne Haazir Hoker Huzoor Se Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Khuda Farmata Hain Ki Main Jannat Aur Uski Nematain Fatima Ka Maher Mukarrar Karta Hoon! Huzoor Ne Mujhe Iski Khaber Di To Main Fir Bhi Razi Na Hui! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, To Fir Khud Hi Batao Ki Maher Kya Ho? Maine Arz Kiya Ya Rasoolallah! Aap Har Waqt Apni Ummat Ke Gham May Rehte Hain! Main Chahti Hoon Ki Aapki Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera Maher Ho! Chunanche, Zibrayil Wapas Gaye Aur Fir Yeh Kaagaz Ka Tukda Leker Aaye Jisme Likha Hain-
"Maine Ummat-A-Mohammad Ki Shafa-at Fatima Ka Maher Mukarrar Kiya"

(Jaami-Ul-Moajizaat Misri Pg-62)

************************************************
SABAK:-
*****
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sadqe May Hum Gunahgaron Per ALLAH Ka Bada Fazl Wa Karam Hain Ki Huzoor Ki Sahab-Zaadi Ko Bhi Hum Gunahgaron Ka Khayaal Raha Aur Wo Hamari Bakshish Ka Intezaam Farma Gayi!
Fir Yeh Kehna Ki Un ALLAH Walon Se Kuch Haasil Nahi Hota, Kis-Qadr Jahaalat Ki Baat Hain! Yeh Bhi Malum Hua Cheek-Chillaker Maatam Nahi Karna Chahiye! Is Chiz Se Khud Khatoon-A-Jannat Ne Bhi Mana Farmaya Hain!
************************************************

Comments

Popular posts from this blog

تراویح ، رمضان ، Ramzan, Taravih

جس کا کوئی پیر نہیں ، اس کا پیر شیطان ہے کا صحیح مفہوم کیا ہے؟

Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi :