Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Muṡanna rahmatullāhi alaihi

Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Muṡanna rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Mazeed Posts ke liye Website dekhen :
(For more posts Visit this website) :

http://fikreummat.net/

****************
Aap ki wilaadat 12 Ramazaan 29 Hijri (650 A.D.) me Madeena munawwara me hui.

*************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba ibn Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naaam Khawla bint Manzoor bin Zaban al-Fazzaziyah hai.

*************
Aap ilm aur taqwa ke jaame the aur raawi e Hadeeṡe nabawi hain.

*************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya, 6 saahabzaade aur 2 saahabzaadiya hain.

(1) Sayyeda Faatima Sughra binte Imaam Husain se
3 saahabzaade : Abdullāh al-Mahaz, Ibrāheem al-Ghamar aur Hasan al-Muṡallaṡ.
2 saahabzaadiya : Zainab, Umme Kulṡum.

(2) Ummal Walad Habshia Roomia se
3 saahabzaade : Daawūd, Ja’afar aur Yahyā. 

*************
Aap se Hasani saadaat ki nasl jaari hai.

Hazrat Ghauṡ ul aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani (Baghdad) rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Imaam Abul Hasan Noor-ud-deen Ali ash-Shaazili rahmatullāhi alaihi Aap ke saahabzaade Hazrat Sayyed Abdullaāh al-Mahaz rahmatullāhi alaihi) ki nasl se hain.

*************
Aap Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu ke Khalifa hain.

*************
Umayya Khalifa Waleed bin Abdul Malik ke zamaane me Aap ko zeher diya gaya.

Aap ka wisaal 17 Rajab 97 Hijri (March 716 A.D.) ko hua.

************
Aap ka mazaar Madeena munawwara me hai.

****************
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Sayyed Hasan al-Muṡanna rahmatullāhi alaihi aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Comments

Popular posts from this blog

تراویح ، رمضان ، Ramzan, Taravih

جس کا کوئی پیر نہیں ، اس کا پیر شیطان ہے کا صحیح مفہوم کیا ہے؟

Hazrat Khwaja Hasan al-Basri rahmatullāhi alaihi :